Monday, 29 August 2016

Computer Ki Screen Record Kaise Kare Bina Kisi Software Ke Youtube Se

Computer ki screen record karna simple bat hai. Aap kisi bhi screen recorder isntall karke computer ki screen record kar sakte hai. But agar bat ho bina kisi software ke desktop screen record karne ki to har koi iske bare me janna chahata hai. Aap youtube ke sath apne desktop ki screen record kar sakte ho or use youtube par bhi upload kar sakte ho without any desktop software.
Aap apne blog ke liye video banane ke liywe bahut se desktop screen recorder software use karte ho. But kya aapko pata hai ki aap bina kisi software ke bhi apne laptop computer ki sreen record kar sakte ho or use youtube par upload karke earning bhi kar sakte ho.
In this guide, Is article me mai aapko step by step bta raha hu ki aap youtube ki help se apne desktop ki screen record kaise kar sakte ho.

Youtube Se Computer Desktop Ki Screen Record Kaise Kare Bina Kisi Software Ke

Step 1:
  1. Sabse pahle aap youtube.com par jaye or sign in kare. (Aap youtube par apne google account se hi sign in kar sakte hai. 
  2. Ab right side me upar upload button par click kare or uske bad “LIVE STREAMING” par click kare. Agar aap ye pahli bar kar rahe ho to iske liye aapko youtube par apne mobile number verify karne honge.
  3. Step 2:
    Ab aap create event page par pahuch jaoge. Yaha par aapko apne screemcast video ko ka title and privacy set karni hai.
    1. Events par click kare.
    2. Apne video ko koi name de.
    3. Yaha par private select kare. Jisse aapke edit video ko koi or na dekh paye. Isse aap complete edit karke publish kar sakte ho.
    4. Go live now par click kare.Ab google hangouts ka pop up page khulega. Yaha par aapko camera icon par click karke webcam recording off karni hai. Sath hi agar aap voice record nahi karna chahate hai to  microphone icon par click karke audio recording bhi and kar sakte ho.
      1. Ab rigt side me screenshare button par click kare.
      2. Ab aapko jo bhi screen record karni hai. Uski windows choose kare.
      3. Finaly share par click kare.Step 4:
        Ab aap video manager par jaye. Yaha par aapko apni record ki gayi video mil jayegi. Ab aap ise download karke kisi bhi video editer se edit kar sakte ho. Ya fir direct ayse hi youtube par publish kar sakte ho. Iske liye aapko bas video par select karke action par click kar publish select karna hai.
        Youtube ki is tricks se record kiye gaye videos 720p HD quality ke hote hai. Jise aap chahae to video editer se change bhi kar sakte hai. Youtube ka ye feature youtube channel par live stream set karne ke liye hota hai. But aap is trick se apne computer ki screen record kar sakte hai or use youtube par upload kar sakte hai.


0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More