Keyboard Ki Puri Jankari Hidi Me
Jane
Apne mera
computer ki jankari wala article to padha hi hai. Usme maine sabhi parts ki puri tarah sejankari
nahi di hai. Aaj mai apko unme se hi ek part yani Keyboard Ki Jankari Aur
Keyboard Types Jane Hindi Mai bataunga aur Keyboard Types bhi bataunga.
Keyboard – key
board typewriter jaisa upkaran hota hai. Keyboard se hum numbers aur letters
type karte hai. Bina keyboard ke aap nahi koi name, address, pincode kuch bhi
ho type hi nahi kar sakte. Chaliye jane iske main parts ke bare mai. (Keyboard
Ki Jankari Aur Keyboard Types Jane Hindi Mai ).
Typewriter keys – Inhe hum Alphabet keys bhi kehte hai. Yeh key board
ka mukhye hissa hota hai. yeh mukhyta typing sambandhi karya ki karne mai kaam
aata hai. Inhi key se hum kisi bhi basha me type kar sakte hai. Iske liye sirf
hamko computer me font badalana hoga.
Function keys – Type writer
key ke sabse upri bhaag me ek line me F1 se F12 sankhya tak function keys rehti
hai. kisi bhi software par kaam karte samay inka prayog usi software me di gayi
suchi ke anusaar alag alag tarike se kiya jaata hai. (Keyboard Ki Jankari Aur
Keyboard Types Jane Hindi Mai ).
Cursor control keys – In keys se computer ke cursor ko control kiya
jaata hai. Isse aap cursor ko up, down, left, right aasani se le jaa sakta hai.
Yeh key board par arrow ke nishaan se pradarshit rehti hai. Key board par arrow
keys ke theek upar kuch aur cursor control keys bhi mojud rehti hai. Ye is
prakar hai.
Page up keys – Is key ka
prayog document ke pichle page par jaane ke liye kiya jaata hai.
Page down keys – Is key ka
prayog agle page par jaane ke liye kiya jaata hai.
Home key – Iskey ka
prayog cursor line ke shuru me laane ke liye hota hai.
End key –
Yeh key cursor ko line ke ant me le jaati hai.
Numeric key pad – Keyboard ki
dayi aur numeric key pad hota hai. Jise hum Number keys kehte hai. Jisme
calculator ke saman keys hoti hai. Inme se kuch keys do kaam karti hai. Numeric
keys ke dono karya ko aapas me badlane ke liye num lock key ka prayog kiya
jaata hai. Udharan ke liye sankhya 7 yukt ki, home key ke rup me keval tabhi
kaam karti hai jab Num Lock key OFF hoti hai. Jab num lock key ON
hoti hai to 1,2,3,4,5,6,7,8,9,0 keys, numeric keys ke rup me kaam karti hai.
Inme se kisi ko bhi dabane par screen par ek sankhya dikahi deta hai.
Caps lock key – Samanayta
akshar lower case me hi type hota hai. Yadi aap ek baar caps lock key ko daba
de to type kiya jaane vaala character upper case mai type case me type hota hai.
Ise vapas lower case me type karne ke liye ek baar fir caps lock daba de.
(Keyboard Ki Jankari Aur Keyboard Types Jane Hindi Mai ).
Shift key – Isko dabakar
yadi aap koi akshar ki dabaye to veh upper case akshar me hi type hogi. Yadi
caps lock on ki sthiti me ho to yeh kriya ulti ho jaayegi. Jab ek key par do
chinha ya chracter bane ho tab shift ki dabakar agar aap wo key press karenge
to apko upri chinh screen par dikhai dega.
Space bar key – Yeh key board
mai sabse badi key hoti hai. Iska use hum do characters mai space dene ke liye
karte hai. (Keyboard Ki Jankari Aur Keyboard Types Jane Hindi Mai ).
Control aur alt keys – Control aur alt keys ka prayog aksar koi
vishesh kaam karne ke liye any key ke saath sayunkt rup me kiya jaata hai.
Jaise “control + C” ko ek aap do prompt par lout aate hai. Control + ALT+
DELETE keys ko ek saath kramvaar dabane se computer lock, sign off, swich user,
password, task managerjaise option dikhata hai.
Keyboard Types
§
Gaming keyboards
§
Laptop keyboards
§
Ergonomic keyboards
§
Thumbsize keyboards
§
Numeric keyboards
§
Laser / infrared keyboards
§
Rollup keyboards
§
Xt keyboards
§
Personal systems (ps/2) keyboards
§
Mini ps/2 keyboards
§
Multimedia keyboards
§
Internet keyboards
§
Wireless keyboards
§
Membrane keyboards
Agar apko
article pasand aaya ho to apne friends aur relatives mai share jarur kare. Aur
unhe jo bhi jankari chahiye to kahe bas.in par www.hindikidunniya.in jaye.
Keyboard Ki Puri
Jankari Aur Keyboard Types Hindi Mai Jane
Tags: Keyboard Ki Jankari, Keyboard Ke Types Kaun se
Hai, Keyboard Kya Hota Hai. Keyboard Use Kaise Kare, Keyboard Use
Karne Ke Tarike. Hindi Me Jankari.
0 comments:
Post a Comment