Sunday, 24 July 2016

Mouse Ki Puri Jankari Aur Mouse Ke Prakar - Hindi Mai Jane


Mouse Ki Jankari Aur Mouse Types Hindi Mai Jane

Aaj jante hai Mouse Ki Jankari Aur Mouse Types Jane Hindi Mai. Aaj mouse ke bina computer par kaam karna asambhav sa lagta hai. Lekin computer ko apni lambi vikas yatra mai mouse ka saath bahoot baad me mila. Mouse se aam logon ka parichaye 1981 me hua. Jab zerox star 8010 computer ke saath pehli baar mouse bajar me aaya. Halanki mouse ko aam logon ke beech lokpriye banane ka shrey apple company ko jaata hai. Jisne 1984 me apne macintosh computer me mouse ka prayog shuru kiya. Jara sochiye, use pehle log bina mouse ke kaise kaam chalet honge? Asal me, pehle computer screen par graphics, button, menu aadi nahi aate the aur us par numbered path sirf do dishaon me chalta tha. Baayen se daayen tatha upar se niche. Aise me mouse ki jarurt hi mehsus nahi hoti thi.

Mouse Ki Jankari Aur Basic

Mouse ka avishkaar stainford research institute ke doctor Douglas C Engelbart ne 1963 me kiya tha. Unka mouse lakdi ka bana tha jisme dhatu ka ek pahiya aur do button the. Douglas Engelbart ne jab 1967 me mouse ke liye pentet ki arji dakhil ki to uska bada jatil sa naam rakha tha. Xy position indicator for a display system. Unhe 1970 me petent mila. Shuru shuru me mouse ka naam rakha gaya “bag”(kida). Aaj computer ki bhasha me programming sabandhi galtiyan aur virus ko “bug” kaha jaata hai. (Mouse Ki Jankari Aur Mouse Types).
Lekin mouse ko jaldi hi “bug” ki bajay mouse naam mil gaya. Vajah sidhi sadi thi. Mouse ki taar kisi chuhe ki punch jaise lagti thi aur ghumane par veh kisi chuhe ke chalne jaisa hi aabhas deta tha. Yeh naam sabko pasand aaya aur lokpriye ho gaya. Aaj sirf angreji hi nahi, hindi, russi, spanish, german, itlavi aadi bhasaon mai bhi mouse ko mouse hi kaha jaata hai. (Mouse Ki Jankari Aur Mouse Types).
Key board ki hi tarah mouse bhi ek input device (aagam yukti ) hai. Jiska kaam computer ke processor ko sanket bhejna hai. Mouse ke jariye hum computer ki screen par cursor (tankan bindu) ki sthiti ko niyantrit kar sakte hai. Button aur menu aadi ka prayog kar sakte hai. Chitra bana sakte hai. Audi-video file ko sampandit kar sakte hai. Computer game khel sakte hai. Aur yahan tak ki on screen keyboard ke jariye typing bhi kar sakte hai.

Mouse Ke Types

Windows operating system mai istemaal hone vale samanya mouse me do ya teen button aur ek pahiya hota hai. Mouse ke bheetar ek ball (golak ) hoti tha. Jo satah par mouse ki gati ke saath saath ghumti hai. Jab hum mouse ko chalate hai to gend uski vartmaan sthiti ke bare me uske bheetar mojud logic board ko sanket bhejti hai. Ye sanket computer ke processor tak pahunchate hai. Jo monitor ki screen par teer jaise dikhne vale sanket ki position ko niyantrit karta hai. Mouse ke buttan ko dabakar computer me nirdesh bhi bheje jaate hai. Apple macintosh aadharit computer ke mouse me ek hi button hota hai. Aaj gend vale mouse lagbhag band ho chuke hai. Unki jagah laser mouse ne le li hai. Laser mouse ka speed gend vale mouse fast hai.
Yaha mouse ke kuch types mention kiye hai.
1.           Wired mouse
2.           Wireless mouse
3.           Gstick mouse
4.           Optical mouse
5.           Trackball mouse
6.           Mechanical mouse or ball mouse
7.           Laptop mouse
Agar apko article pasand aaya ho to apne friends aur relatives mai share jarur kare. Aur unhe jo bhi jankari chahiye to kahe bas  www,hindikidunniya.in par jaye.
Mouse Ki Jankari Aur Mouse Types Jane Hindi Mai.
Tags: Mouse Ki Jankari, Mouse Ke Types Kaun se Hai, Mouse Kya Hota Hai. Mouse Use  Kaise Kare, Mouse Use Karne Ke Tarike. Hindi Mai Jankari

1 comments:

Unknown said...

Kya laptop me bhi mouse chalta he

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More