Sar dard ek aam samsya hai. Log aksar sar dard ko door karne ke liye davaon ka sahara lete hai. Jinke kuch side effect bhi ho sakte hai. Lekin in painkiller davaon ke bajaye ghar ke bane kuch nuske istemaal kar aapko aaram bhi milega aur inka koi side effect bhi nahi hoga. Aaiye is lekh ke madhyam se hum aapko sar dard se bachne ke ghrelu upaaye ke baare me batate hai. Jane Sar dard kaise door kare – ilaj aur dawa ki jankari hindi me.
Sar dard kaise door kare – ghrelu upchar
- Sar dard hone par bistar par letkar dard vaale hisse ko bed ke niche latka dijiye. Sar ke jis hisse me dard ho raha ho us taraf vaale naak me sarso ka tel ki kuch bunde daal dijiye, uske baad jor se saanson ko upar ki taraf khinchiye isse sar dard se raahat milegi.
- Sar dard hone par daalchini ko paani ke saath mahin piskar maathe par patla lep kar laga lijiye. Lep sukh jaane par use hata lijiye. 3-4 lagaane par sar dard hona band ho jayega.
- Pushkar mul ko chandan ki tarah ghiskar uske lep ko maathe par lagaane se sar dard door hota hai.
- Mulhatthi ko kut piskar mahin churn bana lijiye. Is churn ko naak ke pass le jakar sughane se sar dard me raahat milti hai. (Sar Dard Kaise Door Kare).
- Garm masala chaay sar ke dard ke liye ek kaargaar upaye hai. Aap is chaay me ek long aur tulsi ke kuche patte bhi dal sakte hai. Yeh chaaye nend ko bhaga kar dimag ko sachet karti hai. Aap isme thode se adarak ke saath ilayachi bhi mil sakte hai. Isse aapka sar dard to gaayab hoga hi saath me aap tarotaaja bhi mehsus karenge.
- Sar dard hone par peepla, sounth, mulhati, sonf, kuth in sabko lagbhag 10-10 gram milakar gadha lep bana lijiye. Is lep ko maathe par lagaiye. Sar dard hona band ho jayega.
- Adhik tanav aur din bhar ki bhaag doud ki vajah se bhi sar dard ho sakta hao. Ise dur karne ke liye kisi acche herbal tel se apne sar ki maalish karvayen. Maalish ke pehle tel ko halka sa garam kar le. Tel lagaate samay ungaliyon ko sar par halke dabav ke saath dheere dheere maalish kare. Isse na keval sar dard dur hoga. Balki is tarah ki massag se baloon ki jade bhi majbut hoti hai aur baal acchi tarah se badhte hai. (Sar Dard Kaise Door Kare).
- Godanti bhasm aur parvaal bhasm aur choti ilayachi ke daane teenon ko piskar mahin churn bana lijiye. Subah uthkar khali pet thoda sa churn lekar dahi aur paani ke saath pijiye. Isse sar dard ki samasya se nijaat milegi.
- Tauliye ko halke garm paani me daalkar us touliye se dard vaale hisson ki maalish kijiye. Isse sar dard me fayda hoga.
- Adrak powder ya saunth ka ek chamach powder le. Ise thode paani me milakar garm kar le. Thanda hone ke (halka kunkuna rakhe ) ise maathe par lagayen.
Agar apko article pasand aaya ho to apne friends aur relatives mai share jarur kare. Aur unhe jo bhi jankari chahiye to kahe bas hindikidunniya.blogspot.in par jaye.
0 comments:
Post a Comment