Monday, 29 August 2016

Sardi Jukam Ke Gharelu Upay

Sardi Jukam Ke Gharelu Upay In Hindi. Jab humari body mausam ke anusar adjust nahi karta hai. Toh hum mausami rogo ke shikar ho jate hai. Mausam ke badlaav ke dauran insaan ki body environment main ho rahe changes ko nahi zhel paati hai aur sard-garm ke asar se sardi jukam se grast ho jata hai. Sardi ki shuruaat naak se hoti hai par dheere-dheere iska asar poore sharir par hone lagta hai. Jukham ki koi treatment nahi hai. Is khud kam hone wali bimari main gharelu treatment jyada upyogi hoti hai. Yaha par hum isse bachne ke liye kuch gharelo upaye bata rahe hain. To aaiye jante he Sardi jukam se bachne ke aasan gharelu tips aur tarike. Sardi Jukam Ke Gharelu Upay – Jankari In Hindi.

Adarak, tulsi, poodina wali chay

Ek cup adarak, tulsi, poodina aur kaalimirch wali garam tea, sardi se rahat pane ka asardar gharelo nuskha hai.

Kishmish ka pani le

Kishmish ko pees kar paani ke sath paste bana le. Ismain chini dalkar ubale aur thanda hone ke liye chod de. Roj raat main sone se pehle isko lene se sardi jukham main rahat milti hai.

Haldi ka dhuaa le

Jukham ke ilaaz main haldi kaafi faydemand hai. Behati naak ko rokne ke liye haldi ko jalakar iska dhuua le. Isse naak se paani behna tezz ho jayega wo tatkal aram milega.

Emali aur kaali mirch ka soup le

Emali aur kaali mirch se banaya jane wala south india soup “rasam” ko garam-garam piye. Kyuki ye apke sharir main maujod unusual vishel particles ko bahar nikalne main help karta hai. Isse jukham main bahut fayda milta hai.

Daalchini, kalimirch, ilaychi aur jire

Yadi naak band hai toh daalchini, kalimirch, ilaychi aur jire ko barabar matra main lekar ek cotton ke kapde main bandh le aur inhe baar-baar sunghe jisse chink ayegi aur band naak bhi khul jayegi.

Lehsoon ka soup

Lehsoon ki kaliyu ko ubalkar banaya jane wala lehsoon ke soup ke sevan se sardi jukham main jaldi hi fayda milta hai.

Tulsi ka kadha

Sardi jukham main tulsi bahut kargar hoti hai. Aap chahe toh tulsi ke patte ko chabakar khaye ya fir paani main ubaal kar kadha bana kar piye dono hi tarike se fayda hota hai.

Geho ki bhunsi aur loung ka kadha

10 gram geho ki bhunsi, 5 loung aur thoda namak lekar use paani main milakar ubal kar kadha banaye. Din main 2 baar ek cup kadha pine se fayda milta hai.

Nimbu aur sehad

Vitamin C sardi ke treatment main kafi faydemand hai. Ek glass garam paani main nimbu ke sath ek chamach sehad milakar piye. Ismain bharpoor matra main maujood vitamin C humare main Resistive capacity ko badhate hain.

Khajoor ko doodh ke sath le

Sardiyon ki tashir garam hone ke karan ise sardiyon ke liye bahut hi faydemand mana jata hai. Khajoor ko doodh ke sath ubaal kar lijiye isse thand main bahut rahat milti hai.

Haath dote rahe

Baar-baar hath dhona jukham se bachne ka sabse bada solution hai. Isse infected chizo ko chune se hath main aaye virus khatam ho jate hain.
Agar apke family main kisi ko jukham ho toh ek dusre ke bartan ka use na kare, yadi sambhav ho sake toh disposal bartano ka hi use kare.






0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More