Paypal
Account Kaise Banaye Jane Hindi Mein
Paypal Account
Kaise Banaye. Paypal ek online bank ki tarah hota hai aur agar aapke paas
paypal account hai to aap puri duniya mein kahin se bhi paisa prapt kar sakte
he. Aur kahin bhi paisa bhej sakte hain. Aayie jjane Paypal account banane ka
tarika. Paypal Account Kaise Banaye.
Payapl website open karen ya Paypal app open kare
Paypal account banane ke liye aapko Paypal website www.paypal.com par jana hoga. Paypal account ko paypal ke
app se bhi banaya ja sakta hai. Paypal account banane ki process website aur
app dono ke liye saman hai.
Signup par click kare
Paypal ki
website ka page open ho jaane ke baad account banane ke liye aap signup par
click karen. Aap do tarah ke account bana sakte hain. Pehla hai Standard
account jo sabhi ke liye free hai. Doosra option hai pro account jisme paypal
aapse 30 dollar har mahine fees leta hai par ismay apka account par pura
niyantran hota hai. Waise adhiktar log free account ko pasand karte hain.
Apni email id aur password de
Ab ek page
khulega aur Paypal apse apki email id poochega. Aap apni email id type kijiye
aur apna password jo aap rakhna chahte hain type karen. Yeh dhyan rakhen ki
apka password aasan nahin ho aur usmay angrezi ke akshar, number aur kai
tarah ke sign hon. Ab aap continue par click kar den.
Apna Vivran de
Ab Paypal ki
website mein naya page khulega jisme ek form hoga. Is form mein apko apna first
name, last name, street address, city state, pin code aur mobile number bharen.
Iskay baad niche diye box par click karen jo yeh kahta hai ki “apne paypal ki
saari sharten padh li hain”. Uskay baad aap next par click karen.
Apne Bank ka Vivran de
Ab apko Payapl
account ke form me apne kisi doosre bank ke saving bank account ka vivran dena
hoga jisse ki paypal apke amount ko apke bank account mein transfer kar de.
Yadi aap yeh us samay hi nahin karna chahte to “I’ll link my bank later” par
click kar den. Issay paypal account banane ka process aage badh jaayega aur aap
baad mein apni bank information paypal account mein de sakte hain.
Apne Paypal account ko verify kijiye
Paypal
account banane ke baad ussay paise prapt karne ke liye apko apni email address
confirm karni hogi. Apki email id par Paypal ki aur se ek email aayegi. Usmay
ek button hoga “Yes, this is my email”. Aaap us par click karke apni email id
ko confirm kijiye.
Bank account ko Paypal se link karne ke liye
Ab yadi aap
Payapl account se paise apne saving account mein transfer karna chahte hain to
apne saving account ko add karne ke liye Paypal account mein Profile option par
ek baar left click karen. Uskay niche ek baox aayega. Ab us box mein option
Add/Edit Bank Account par click karen. Ab apne bank account ke details usmay
fill karen. Payapl apke bank acocount ko check karne ke liye do baar kuch
amount deposit karega jo ki 1 dollar se kam hoga. Aap is deposit amount ko apne
online statemet mein 24 se 48 ghante baad prapt kar sakte hain.
Paypal account se amount kaise bheje
Paypal ek
banking company hai jo ek user ko doosre user ke paypal account mein ya bank
account mein paise transfer karta hai. Fund ko transfer hone ke liye dono
parties ke paas paypal account hona chahiye. Yadi ek vyakti ke paas paypal
account hai aur doosra vyakti jisko fund transfer karna hai us par paypal
account nahin hai to ddosre vyakti ke paas paypal account khulwane ke lie
message aata hai.
Payal se amount
bhejne ke liye sabse pehle paypal account ko open kijiye. Aab apke accont ka
page khul jaayega usmay send payment tab par click kijiye. Is option par click
karte hi ek box aayega. Usmay sabse pehle box mein jis vyakti ko fund transfer
karna hai uski paypal id likhen. Iskay baad niche ke box mein jitna amount
transfer karna hai woh amount bharen. Ab option I’m making personal payment par
click karen. Iskay baad send payment button par click kar den.
apne relative or dosto ko shear kare or comment kare www.hindikidunniya.in
Tags: Paypal Par Account Kaise Banaye, Paypal Account
Kaise Banaye, Paypal Account Kya Hai, Paypal Par Account Kaise Banate
Hai, Paypal Par Account Banane Ka Tarika
0 comments:
Post a Comment