Mobile Se Virus Nikalne Ka Treka – Step By Step Guide
Mobile Se Virus
Kaise Nikale. Aaj kal ham apne mobile mein internet ka bahut istemaal karte
hain. Yeh mobile bhi aaj computer aur lapto ki tarah kaam kar rahe hain aur
inmein saare features hote hain. Isliye un features ko use karne ke liye hum
anek websites se gaane, video, wallpaper aadi download karte rehte hain. Inmein
se kuch websites se to downloding surkshit hoti hai par kuch websites se
downloading karne par hamare mobile mein virus aa jaata hai. To chaliye
jane Mobile Se Virus Kaise Nikale step by step guide.
Kya hota hai internet virus
Internet se
aaya hua virus inssan dwara banaya gaya
hi computer program hai. Jo apne swarth ke liye yani anti virus ko bechne ke
liye banaya hai. Yeh virus jab bhi mobile mein aa jaata hai to uski
karyapranali ko prabhavit karne lagta hai. Issay woh mobile dhire kaam karta
hai. Baar baar karya karte huye ruk jaata hai ya kabh kabhi to aapke saare data
ko hi remove kar deta hai. Aise mein Mobile se
virus nikalna bahut zaroori ho jata hai. Aaiye jaane ki Mobile Se Virus Kaise
Nikale.
Anti virus ko install karen
Aap ke
mobile mein ek anti virus zaroor hona chahiye jo samay samay par aa rahe virus
ko remove karta rahe. Iskay saath hi dhyan rakhen ki keval anti virus ko
install karna hi paryapt nahi hai. Apko usay niyamit roop se update bhi karte
rahna chahiye. Jab bhi aap apne mbile mein internet connect karen pata karte
rahen ki apke anti virus ko kaun sa update chahiye. Mobile ke liye anek anti
virus hain jinme Avast, AVG technologies, Kaspersky, McAfee, Quick Heal, aadi
pramukh hain.
Free anti-virus ka upyog karen
Aap apne
mobile ka virus scan karne ke liye free wale anti virus ka bhi prayog kar sakte
hain. Isay install karne ke baad update kar len aur kuch samay baad phir isay
update karte rahen. Isay install karne ke liye free anti virus dene wali kisi
bhi acchi website ka use karen. Download karne ke liye link par click karne.
Jab yeh download ho jaay to iskay download huay setup par double click karen.
Iskay baad sabhi nirdeshon ka palan karte huay isay install kar len aur update
karen. Update hone ke baad sabhi program band kar len aur mobile ko anti virus
se scan kare.
Online virus scanner
Mobile mein kaun
sa virus hai jaane ke liye aap online virus scaaner ka bhi prayog kar sakte
hain. Aap apne mobile mein google open karke usmay online virus scanner search
karen. Iskay baad up us scanner ko shuru kar pata kar sakte hain ki aapke
mobile mein kaun sa virus hai aur kitna virus hai. Aur phir us hisab se anti
virus install kar sakte hain. (Mobile Se Virus Kaise Nikale).
Mobile switch on karne ke baad scan karen
Jab aap apna
mobile switch on karte hain to sabse pehle apne mobile ko scan karen. Agar aapne
antivirs install kiya hua hai to woh scan ke saath mobile mein aaye huye virus
ko rmove bhi karta chala jaayega. Aur is tarah aapke mobile ki speed badhti
jaayegi. Scan karne ke baad yeh bhi sunishit ho jaayega ki apka mobile ka
system sahi chal raha hai. Koi bhi aisa program mobile mein internet ke jariye
nahin aaya hai jo aapke mobile ki karyapranali ko prabhavit kare.
Mobile ka manual padhen
Jab apko pata
lag jaaye ki apke mobile mein virus aa gaya
hai to aap mobile ke khareedne par saath aaya manual yani kitab ko padhe. Pata
karen ki mobile ko uski pehle jaisi sthti yani factory setting par kaise laya
jaa sakta hai. Iskay baad aap mobile ko factory setting par le aayen. Issay
apka data ramove ho jayega par aapke mobile se virus bhi door ho jaayega. (Mobile
Se Virus Kaise Nikale).
Website ke baare mein rai pata karke
Jab kabhi aap
koi application kisi website se download kar rahe hain to sabse pehle us
website aur application ke baare mein niche likhi logon ki rai padhen. Yadi
adhikansh log uske baare mein sahi rai nahi dete hain to aap us website se woh
application download nahin karen. Is prakar aap apne mobile mein virus ke
pravesh ko rok skenge.
Agar apko article pasand aaya ho to apne friends aur relatives
mai share jarur kare. Aur unhe jo bhi jankari chahiye to kahe bas par www.hindikidunniya.in jaye.
Mobile Se Virus
Kaise Nikale – Step By Step Guide – Hindi
Me.
Tags: Mobile Se Virus Kaise Nikale, Mobile
Se Virus Nikalne Ka Step By Step Guide. Mobile Se Virus Nikalne Ke
Tarike, Mobile Se Virus Nikalne
Ke Tips
0 comments:
Post a Comment