Facebook
Par Likes Badhaye Ke Tarike - Hindi Me Jane
Aap bhi ye soch
rahe hoge ki Facebook Par Likes Kaise Badhaye. Facebook ek aisi social media
sites hogyi hai ki yahan log jyada se jyada dikhai dete hai. Agar aapko kuch
vichar vyakt karne hai apne to agar aap yahan karenge to jayda se jyada log
jabvab dete hai. Aapne kuch post kiya aur us par like na aaye to aap udas ho
jate hai. Lekin hum apko paanch aise tips btate hai jinse aap kisi bhi post par
pehle se jyada like pa sakenge. Chaliye Jante he ki Facebook Par Likes Kaise
Badhaye.
Photo ka istemal kare
Facebook par
apni baat ko image ke saath post kare. Aisa paaya jata hai ki sadharan text kit
ulna me tasveer ke istemaal se post hui cheej par 53 fisdi jyada like karte
hai. Aise post par log 104 fisdi jyada comment karte hai. Aur is tarah ki post
ke throw 84 fisdi jyada click ki sambhavan bhi hoti hai.
80 character tak matter
Facebook par
post karte time text matter ka khyal rakhe. Kam se kam shabdon ka istemal kare.
Aisa dekha gya hai ki 80 character tak likhe post par 66 fisdi jyada log samay
bitate hai. Jyada shabdo ke istemaal hone par us post ko dekhte hi log aage
badh jaate hai. Bahel hi vah kitna bhi intresting kyun na ho. Bhale hi uske
andar rochak jaankari kyun na ho.
Saval post kare
Aisa paya jaata
hai ki kisi saval ke post karne par 100 fisdi jyada response dekhne ko milta
hai. Apne facebook page par jyada se jyada logon ko engage karne ke liye aap
koi saval post kar sakte hai. Saval logon ke man me hal chal paida kar dete hai
aur har user iska javab dena chahta hai. (Facebook Par Likes Kaise Badhaye.)
Post ke time ka dhyan rakhe
Aisa dekha
gya hai ki subah 11 baje se raat 8 baje tak facebook par log active rehte hai.
Isme bhi dopehar ke time jyada chel pehl rehti hai. Dopehar ke baad sham 3 baje
facebook ka pik time hota hai. Is time par sabse jyada user active rehte hai.
Yaani sham 3 baje ke aaspass post karne par log jyada react karte hai.
Rojana do baar update kare
Rojana ek ya do
baars status update karne par aapko 40 fisdi jyada response mil sakta hai.
Vahin yadi aap saptah me ek se chaar baar status update karte hai to apko 71
fisdi jyada response dekhne ko mil sakta hai. Yahan 40 fisdi response pratidin
aur 71 fisdi par saptah hai. Is data se confuse na ho. (Facebook Par Likes
Kaise Badhaye.)
Agar
apko article pasand aaya ho to apne friends aur relatives mai share jarur kare.
Aur unhe jo bhi jankari chahiye to kahe bas www.hindikidunniya.in par
jaye.
Tags : Facebook Par Likes Kaise Badhaye, FB Par Jada Likes Kaise
Laaye, Facebook Par Likes Laane Ke Tarike
0 comments:
Post a Comment