Gmail par Email Account Kaise Banaye
Gmail par Email
Account Kaise Banaye. Aaj ki duniya mai har koi chahta hai ki uske pass ek
email account ho. Sari duniya ab internet par aa gayi hai. Agar koi job ke liye
apply karta hai to use email account lagta hai. Koi agar bank account banata
hai to use bhi aaj kal email account lagata hai. Email account aaj kal ke
jamane me ek important chij ban gayi hai. Abhi school aur colleges mai bhi
padhane lage hai ki Email Id kaise banate hai.
Is post me hum
janege ki Email account kaise banaye. Email account dene wali Gmail seva ke
bare me hum janenge. Chalo to fir padhate he Gmail Kya hai, aur Gmail par Email
Account Kaise Banaye.
Google Gmail
Kya Hai
Gmail ye Google ki ek free service he jisse hum free mai hamara
email account create kar sakate hai. Account banana ke liye hame jana hoga
gmail ki website par jo he www.gmail.com. Pehle
aap apna web browser khole. Usmewww.gmail.com type
kare aur wo website open kare. (Gmail par Email Account Kaise Banaye).
Create
Account button par click kare
Is screen par Create Account button par click kare.
Yaha aapko aapki
jankari bharni hai.
Apka naam, aapka
gender, aapka phone number aur sabse important aapka gmail id. Jo id aapka
Choose your username is box me likhana hai. Example : fuzailk133@gmail.com
Saari jankari bharne ke bad aapko apna mobile number verify
karna he.Filal Next Step button par click kijiye.
Phone Number
Verify Kare
Agle screen par aapko apna mobile number verify karna he, Google
ye pata lagata he ki jo account aap bana rahe he wo sach me aapka account he ya
nahi, isse fake accounts banana ki bohot kam chances rehte he.Is process me
aapko apna mobile number Phone Number box me
dalna he.aur Continue button par click karna he.
Continue button par
clickkarne ke bad aapke mobile par ek message aayega, us message me Google ne
ek code send kiya hoga wo code 5 digit code rehta he, wo code bohot important
hai, uske bager aap email account anhi bana sakte.
Wo code aapko is
box me likhna he aur Continue button par click karna
Email me login
Kare
Uske bad aapka
email account tayar ho jayega.
Aapke pas aapka khudka email account hoga, abhi aap firse www.gmail.com par jaye
Waha apna email
id aur password dale aur login kare. Login karne ke bad aap kisiko bhi Email
send kar skte ho, Bahar se aaye hue emails padh sakte ho. Jab aapka kam ho jaye
to log out karna na bhule. Aur aapka Gmail ka password kisi ko na de. Nahi to
aapka Gmail account hack ho sakta he. (Gmail par Email Account Kaise Banaye).
Aapko Email
Account Kaise Banaye ye post kaise laga please niche comment me likhiye. or shear kare www.hindikidunniya.in visit again
Tags: Gmail par Email Account Kaise Banaye, Gmail par
Account Kaise Banaye, Email Account Kaise Banaye, Apni Email Id Kaise
Banay
0 comments:
Post a Comment