Online Railway Booking Kaise Kare Simple 7 Step
Online
Railway Booking Kaise Kare. Online reservation karne ke liye zaroori hai ki
apke kisi bank account mein net banking ki suvidha ho. Ya apke paas atm
card/debit card/ credit card ho jiske jariye aap ticket ka paisa online hi jama
kar saken. Iskay saath hi aap par mobile ho jisse apka ticket banne par app par
ticket ka message aayega jise dikha kar tatha apna koi bhi parichay patra
dikhakar aap rail mein yatra kar sakte hain.To chaliye jane Online Railway
Booking Kaise Kare – Step By Step Guide.
Step 1
Online Railway
Booking Kaise Kare, Sabse pehle Indian railway ki online reservation website
http://www.irctc.co.in/ ko open karen. (irctc login registration, irctc sign up
new account, railway online booking, indian railway online booking, irctc new
user registration, irctc.co.in login, irctc registration form).
Step 2
Online
Railway Booking Kaise Kare. Yadi aap ismay registered hain aur apka account hai
to apni User ID aur password dalkar apna account open karen. Yadi app
registered nahin hain to sabse pehle is website mein registered hone ke liye
sign up par click karen. Ek easy form aayega jise bharkar app registered ho
jaayenge aur apko User ID aur password mil jaayenge jiske dwara aap apne
indian railway ke account mein jaa sakenge.
Step 3
User Id aur
Password se login karne ke baad website ka naya page khulega jisme baye haath
ki taraf box honge.
Pehla box From Station ke paas hoga. Uske andar us station ka
naam likhen jahan se aap yatra karne jaa rahe hain.
Doosra box To Station ke pass hoga.
Uske andar us station ka naam likhen jahan tak aap yatra karna chahte hai.
Teesre box Jorney Date ke paas hoga jiske paas ek calendar sa bana
hoga. Us par click karte hi calendar aa jayega. Usmein se mouse ke dwara aap
apni journey date ka chunav karen.
Online Railway
Booking Kaise Kare. Iskay baad ke box ke pass ticket type likha hoga jisme se
apko E-ticket ya I- ticket mein s ek ka chunav karna hoga. E-ticket lene par
apko ticket aapki email id par aur I-ticket lene par apko ticket postal address
par bheja jayega. Apko E-ticket ka chunav karna chahiye jisse turant hi ticket
prapt ho sake.
Ab captch bharkar Submit wale button par click karen.
Step 4
Submit
button par click karte hi apke saame trains ki list aa jaayegi. Ab aap jis
train se jaana chahte hain usay dekhen aur jis coach se jaana chahte hain us
tarin ke samane us coach par click kar den. Maan lijiye aap tamil nadu express
mein sleeper coach se jaana chahte hain to uske saame likhe SL par click
kar den.
Step 5
Apke click karte hi ek page khulega jiske upar us
train ki us din ke liye seat availability likhi hogi. Agar us din us train mein
jagah hai to neech likha hoga Book Now. Aap
us par click kar dijiye.
Step 6
Book Now par click karte hi Ek from aayega jisme box bane honge
jisme apo yatra kar rahe yatriyon ka vivran dena hoga. Maan lijiye keval aap hi
yatra kar rahe hain to Name ke
niche bane box ke andar apna naam likhe.
Phir Age ke
niche bane box ke andar apni umr likhen.
Phir Gender ke niche bane box mein apna gender
chune jo male ya female hoga.
Iske baad Birth preference ke niche bane box par click kar aap
apni pasand ki birth chun sakte hain.
Iske baad yadi aap senior citizen hain to app Senior
Citizen ke niche
bane box par nishan laga sakta hai. Lekin yatra ke dauran apko apni umr ka
original praman patra dikhana hoga.
Ab form
mein niche ke aur yadi koi 5 varsh tak ka baccha apke saath ja raha hai to uska
vivran likhe. Uski alag se ticket nahin banegi.
Ab captch bharen aur Mobile Number wale box mein apna mobile number bharkar Next par click kar den.
Step 7
Next par click
karne ke baad ticket ke paison ke payment ke liye ek naya page khulega jis mein
se apko payment ka tarika yani credi/debit cad se payment ya net banking se
payment karne ka chunav karne ke liye kaha jaayega. Aap jis bhi tarike se
payment karna chahte hain us par click kar dijiye. Apni bank ke mange gaye
details dijiye. Ek baar payment ho jaane ke baad apka reservation ka ticket
email aur sms ke dwara apke pass aa jayega.
Agar apko article pasand aaya ho to apne friends aur relatives
mai share jarur kare. Aur unhe jo bhi jankari chahiye to kahe bas par www.hindikidunniya.in jaye.
Tags: Online Railway Booking Kaise Kare, Railway Registration
Kaise Kare. Online Railway Booking System, Online Railway Booking Tatkal, irctc
Par Registration Kaise Karte He
0 comments:
Post a Comment