Online paisa kaise kamaye, Jab me online paisa kamane ke bare me padta hu, bohot se log bikar advice dete hai, aisi advice jisse ki padne wala cheezo me hi ghumta reh jata hai lekin asal me kabhi kuch kama nahi pata. Pirate gane download karne wali website, Hacking wali ya Wallpaper wali ye sab cheezo me sirdardi jada hai, paise kam hai or koi izzat bhi nahe hai.
Mera manna hai ki insaan ko kaam aisa karna cahie jisse ki kisi ko fayada pohache. Agar aap kisi ko apne kaam se fayada pohcha sake tabhi aap sahi tareeke se paise kama sakte hai, Kyoki kisi ko kya farak padta hai ki aap paisa chahte hai ya amir banna cahte hai, logo ko isse kuch matlab nahi hai, logo ko bas iss cheez se matlab hai ki aap paise ke badle unhe kya denge. Ye simple si cheez agar dimage me daal loge to zindagi me bohot tarakki kar sakoge.
Internet se paise kaise kamaye :
Hello dosto, waise to Internet par paise kamane ke bohot sare tareeke hai par is article mai apse karuga Top 10 tareeke jo ki mere Favorite hai.
Skills Sikhan Aur Online Training Dena
Ye mujhe lagta hai ki sabse bhadia tarika hai online paise kamane ka, agar aapke pass kuch skill hai to app use internet par logo ko sikha sakte hai, ye na sochiega ki aapko English nahi ati to aap internet par nahi sikha sakte, aapko andaja bhi nahi hai ki kitne sare aapke jese log hai jo internet par kuch na kuch Hindi mai seekna cahte hai, India ki population 1.25 crore hai agar aap inme se thode se logo ko bhi kuch sikha dege to aap apne ilake ke sabse bade coaching ya training center se jada logo ko prabhavit kar sakte hai, or jitne logo ko aap prabhavit karege utna aapka kaam bhadege.
Is tareeke se maine bohot se logo ko piasa kamate dekha hai, hindustan mai iska sabse bhadia example jo mujhe lagta hai wo hai Sandeep Maheshwari jo YouTube ke dwara apna prachar karte hai. Or kuch or log bhi hai jo IIT ya SSC ki tyari Internet par sikhate hai. Mera ek dost hai wo mobile repairing karta hai, wo bhi internet par mobile repairing sikhana shuru karega. Aap seekha kar logo se kuch paise charge kar sakte hai, Sochie agar aap sirf 100 Rs/Month bhi lete hai ek wyakti se to bhi kam nahi kyoki agar aap sirf 100 logo ko sikhate hai to 100×100 = 10,000/month hote hai, aapki sikhi cheez internet par hamesha padi rahegi to poori zindagi aapko paise degi. Par abhi jada paise ke bare mai mat sochiye pehle kuch shuru to kijiye, internet par paise ki kami nahi hai.
Online service dena
Maan ligiye aapko photoshop ata hai, to aap apne seher mai to photo editing ka kaam kar hi rahe hai, aap yahi kaam Intenet par bhi kar sakte hai. Internet par kahi sare models ya Photographars hai jinhe apki service ki jaroorat hai. Ese hi aap Internet par data entry ki job pakad sakte hai, ya agar aapko website banani ati hai to aap kisi ke lie website bana sakte hai. Internet par aap kahi prakar ki services de sakte hai
Kahi sari websites hai jo ki jaha jake aap dekh sakte hai ki kaise service jada demand mai hai, or agar aap logo ki un demando ko pura kar sakte hai to aap beshak paisa kama sakte hai.
Online Cheeze Bana ke Bechna
Delhi, Chandigarh jese sehro mai to ye cheeze kabse ho rahi hai. Aap jo kaam offline karte hai aap usi kaam ko online leja sakte hai, jese ki agar aapka mobile bechne ka kaam hai aur jese ki mujhe pata hai ki mobile wale bohot pareshan hai kyoki aajkal log electronic cheeze intenet sai mangwa lete hai. Par logo ko ye nahi pata ki online bhi koi bech hi raha hai, aap apna saaman online jake bech sakte hai. Shayad apne TV par bhi dekha ho Flipkart, Amazon aur Snapdeal jesi companiya bina kisi sirdardi ke online samaan bechne ki suvidha deti hai. Or ek baat yaad rakhna apni kuch ki Flipkart jesi website banae ki abhi mat sochna, kyoki wo website itni badi hai ki aap unse aasani se compitition nahi kar sakte, behtar hoga ki shuruvat mai unhi ki Website par apna saaman bencho, wo logo pehle se hi apna kaam jama ke bethe hai aur publicity kar chuke hai. Aap unka fayada uthao, unse compete mat karo.
Aapke ghar ki aurate agar Handi Craft ka samaan ghar par bana leti hai to iski bhi intenet par bohot demand hai. Ek bar try to karke dekhie, nuksaan kuch nahi hai, or chal gaya to apki extra income ban jayegi aur kya pata main income bhi ban jae. Life mai karne walo ko hi milta hai.
Affiliate Marketing
Mujhe nahi lagta abhi tak koi bhi Affiliate ( सहबद्ध – Shabaddh) Marketing ke bare me internet par bata raha hai. Affiliate marketing mai aap kisi aur ka business badane mai madad karte hai, aur badle mai wo aapko commision deta hai. Comission thodi bhoto nahi, kabhi kabhi ye commission 50-60% tak ho sakti hai. Soch kar dekhie agar apne kisi America ki company ka $400 ka product bikway to apko $200 bhi mil sakte hai, kitne bethe 200×60 = Rs. 12000, Ab sochiye aap 3-4 din mai bhi ek item bech rahe hai, Ek lakh sai upar bethta hai Mahine ka, Kum hai? Anginat Sambhavanye hai. India mai Amit Aggarwal sirf affiliate ke dwara lakho rupya kama rahe hai.
Itna aasaan nahi hai. Par zindagi mai jitne mushkil samasya ka hull karoge utna jada paise kama paoge. Agar gali gali ghumkar akhbar batoge to kum kamaoge kyoko wo to koi bhi karlege, aur agar chand pe jane wala rocket banaoge to jada kamaoge. Samajhne ki koshish karna mai kya kehra hun.
Shuruwat hamesha chote se hi karni padti hai, lekin aage bhadne ka junoon hona cahiye.
Blog par likho aur Ads Becho
Aapko agar koi skill ata hai. Esi cheeze jiske bare mai aapke dost apse hamesha poochte hai, aap apne vichar likhne mai acche hai to aap intenet par ek Blog likh sakte hai aur us blog ke dwara paisa kama sakte hai. Paisa kese? apne dekha hoga kahi website par side mai Ads bane rehte hai, ye websites wale log Ads ke dwara paise kamate hai. Jitne jada log inki website ko dekhte hai unta jada Ads ke dwara paisa ata hai.
Aap kisi bhi bare mai blog kar sakte hai, aap photography mai ache hai, to apni kheechi gai photos dal sakte hai, aap college mai student hai to aap apne subject ya interest se related jankari likh sakte hai, aap mobile repair karte hai to aap uske bare mai likh sakte hai, aap cooking mai ache hai to aap apne recipes intenet par daal sakte hai, etc. – Blog aap lagbhag kisi bhi cheez se sambandhit khol sakte hai.
Aajtak walo bhi Hindi mai news likhte hai intenet par, wo Ads ke dwara hi to kamate hai paise.
Ebay, Olx ya Quikr par bheche
In website par duniya bhar ka traffic hai, yaha par aap apne haat se bani (ya poorani) painting se lekar Laptop ya Gadi. Kuch bhi bech sakte hai, apne seher ki wholesale market se bulk mai kuch bhi sasti cheez uthao in website par dalo, jab order lekar samaan ko post kardo. Ye bhoto assan taika hai, kyoki in websites par bohot jada traffic hai. Meri ek dost ebay par artificial jwellary bech kar mahine ka lakho rupye kama rahi hai.
Reviews ( समीक्षा )
Aajkal ke logo ko mobile ya electronic item kharidne ka bohot shonk hai. Apke bade bhi apse inke bare mai poochte hi hoge.
Internet par anginat websites hai English mai jo ki kisi bhi naye mobile, laptop ke bare mai jankari dete hai or batate hai ki konsa mobile kharide aur konsa nahi, par Hindi mai shayad hi koi website hai jo review deti hai, Bohot bada avasar hai dosto agar Technology mai interest hai to bana dalo website abhi hindi mai iss cheez ki shuruwaat hai, India ka haal bhi China wala hone wala hai aaj ke din mai waha Chinese bhasha mi likhi websites bohot jada hai, India mai bhi agle kuch salo mai yahi haal hone ki sambhavana hai. To kehne ka matlab compition hai kum, or kamayab hone ke asaar hai jada, Akhe band karo aur kood pado aur life mai Vikas karo
Social Media ( Facebook, Whatsapp )
Haan shayad ye apko sabse jaada pasand aaye, mai hamesha se kehta hun jaha logo ho waha paisa kamane ke tarike nikal hi jate hai aur Facebook, Whatsapp par logo aajkal paglo ki tarha rehte hai. Mana ki wo nakli dunia hai, par us duniya ko hum or aap jaise asli log hi chala rahe hai na?
Log kehte hai ki aap whatsapp se paisa nahi kama sakte, mene aisi kayi cases dekhe hai jisme ki logo ne apna poora kaam hi whatsapp kar daal dia hai. Jaise ki Delhi mai kayi Bourtiqe wali auntia koi bhi naya suite aata hai uski photo ko whatsapp group mai daal deti hai, aur unke suite un logo se jada bikta hai jo logo crorero rupeye karch kar bade bade showroom me bethe hai. Esi tarha kahi logo naye naye discount offerse banake whatsapp par dalte hai jisse ki unki sales badhti hai.
Aur Facebook ki baat kare to paise ki ginti hai nahi hai, mai aapki bata nahi sakta ki kitne saare log hai jo apna Facebook group ya page bana ke poore India mai lakho rupye ka samaan bech rahe hai. Apne business ko badane ke lie Facebook best hai. Yaha tak ki wo log jo apne Facebook page par faltu ki comedy timepass cheeze dalte hai aur likes late the, mene ese logo ke pages ko Lakho mai bikte dekha hai, badi badi compays ese pages ko kharidkar apna prachar karti hai. Resturant wale ja din ke samye bheed nahi hoti apne Facebook page par “Happy hours 2PM to 5PM, 50% off” jese offerce daal dete hai, kya problem hai khali bethne se acha hai, poore din customer ata rehta hai
Kya kare?
Aap in sab tareek ko mila kar bhi use kar sakte ho, jese ki blog likho aur sath mai training bhi do + Ads logao website par aur traffic lane ke like Facebook ka use karo, anginat tarike hai.
Ye to tarike the jo mujhe pasand hai. Mai ab apse sunna cahata hun ki apko konsa pusand aya. Neeche comment kijiye aur aap log jis bhi tarike ko sabse jada pasand karege mai uske baar me Vistar (detail) mai batauga.
Thank you is post ko padne ke liye, seekhte rahiye, aage bhadte rahiye aur www.hindikidunniya.in padhte rahiye
2 comments:
bonus veren siteler
betmatik
mobil ödeme bahis
betpark
tipobet
kralbet
slot siteleri
kibris bahis siteleri
poker siteleri
Qİ6AFJ
شركة تنظيف بابها 77Wtq2jkRT
Post a Comment