MicroSoft Excel Ki Jankari
Microsoft Excel ek spreadsheet hai jise Microsoft company dwara nirmit kiya gaya hai. Isay calculation ke liye, Graph banane ke liye, Macro programming ke liye use kiya jaata hai. Ismay aadi line ko “Rows” kaha jaata hai aur Khadi hui line ko “Column” kaha jata hai. Yeh Rows aur Column aapas mein katte huye cell banate hain. Excel mein 256 Columns aur 65536 Rows hoti hain. Is pur area ko worksheet kehte hai. Excel ki file ka format (.Xls) hota hai.
Waisay to Excel window operating system support karta hai yani is par mouse chalta hia aur mouse ke dwara aap ismay kuch bhi activity kar sakte hai par iskay aalwa excel mein kuch keyboard shaortcuts hota hain. Yani jo kary aap mouse se karte hain wahi keyboard dwara bhi kar sakte hain tatah keyboard shortcuts se aapki speed badh jaati hai. Aaiye jaane keyboard shortcuts ke baare mein.
Excel File ke liye keyboard shortcuts
Nai excel book banane ki liye “CTRL+N” press kare.
Kisi file ko open karne ke liye “CTRL+O” press kare.
File ko save karne ke liye “CTRL +S” press kare.
File ko save as option se save karne ke liye “F12” press kare.
File ko print karne ke liye “CTRL+P” press kare.
File ka print preview dekhne ke liye “CTRL+F2” press kare.
Excel close karne ke liye “Alt +F4” press kare.
Excel mein kam karne ke kuch shortcuts.
Kisi karya ko kar diya, hai usay nahi karne ke liye(Undo) “CTRL+Z” press kare.
Kisi karya ko phir se karne ke liye (Redo) “CTRL+Y” press kare.
Sabhi cell ke select karne ke liye “CTRL+A” press kare.
Cell ko copy karne ke liye pehle us cell ko select kar len aur phir “CTRL+C” press kare.
Cell ko cut karne ke liye pehle us cell ko select kar len aur phir “CTRL+X” press kare.
Cell ko paste karne ke liye jahan paste karna hai wahan cursor le jaayen aur phir CTRL+V press kare.
Kisi cell ko Find and Replace karne ke liye “CTRL+F” press kare.
Puri ek Row ko select karne ke liye pehle cursor us row mein rakhen aur phir “Shift+Space bar” press kare.
Pure ek colume ko select karne ke liye pehle cursor us column mein rakhen aur phir “CTRL+Space bar” press kare.
Ek nai woksheet mein chart banane ke liye “F11” dabayen.
Table insert karne ke liye jahan table insert karna chahte hain wahan cursor le jaayen aur phir “CTRL+T” press karen.
Table ki row select karne ke liye pehle cursor table ki us row mein rakhen aur phir “Shift+Space bar” press kare.
Table ke column ko select karne ke liye pehle cursor table ke us column mein rakhen aur phir “CTRL+Spacebar” press kare.
Pura table select karne ke liye pehle crsor us table mein kahin rakhen aur uskay baad “Ctrl+A” press kare
Excel mein cursor ko move karane ke liye Shortcuts.
Screen par cursor ko us page ke upar le jane ke liye “Page up” button press kare.
Screen par cursor ko us page ke niche le jane ke liye “Page down” button press kare.
Screen par page ke right side par jaane ke liye “Alt + Page down” button press kare.
Screen par page ke left side par jaane ke liye “Alt+Page up” button press kare.
Worksheet ke last cell par jaane ke liye “CTRL+End” press kare.
Worksheet ke first cell par jaane ke liye “CTRL+Home” press kare.
Kisi sentence ke pehle cell par jaane ke liye us sentence par cursor le jaayen aur “Shift+Home” press kare.
Kisi sentence ke antim cell par jaane ke liye us sentence par cursor le jaayen aur “Shift+End” press kare.
MicroSoft Excel Ki Jankari jane hindi me.
Cell ki farmating ke liye shortcuts
Kisi cell ko Bold karne ke liye us cell ko select karen aur “CTRL+B” press kare.
Kisi cell ko Italic karne ke liye us cell ko select karen aur “CTRL+I” press kare.
Kisi cell ko Underline karne ke liye us cell ko select karen aur “CTRL+U” press kare.
Kisi cell ko center align karne ke liye “Alt+H+A+C” press kare.
Kisi cell ko left align karne ke liye “Alt+H+A+L” press kare.
Kisi cell ko right align karne ke liye “Alt+H+A+R” press kare.
apko artical kesa laga comment kare or like and share kare www.hindikidunniya.in
Tags: MicroSoft Excel Ki Jankari Hindi Me, MS Excel Ki Janakari. Excel Ke Formulas. Excel Ke Shortcuts.
3 comments:
nice post
www.indiatechtrick.com
wow bhaut achha hai sir
Aluminum Bars | TITIAN ART | TITIAN ART | TITIAN ART | TITIAN ART | TITIAN ART
Aluminum Bars | TITIAN microtouch titanium ART | TITIAN ART | TITIAN ART | TITIAN ART | TITIAN ART | TITIAN ART | TITIAN ART | TITIAN ART | TITIAN ART | TITIAN ART ray ban titanium | TITIAN ART | chi titanium flat irons TITIAN ART head titanium tennis racket | TITIAN titanium wedding ring ART
Post a Comment