Mobile Repair Kaise Kare – Mobile
Repairing Ke Tips
Mobile se
abhipraye hai, band mobile me bettery lagakar switch on karne par mobile koi
karya nahi karta hai. Aapka mobile kisi bhi mobile company ka ho. Aaiye
jane Mobile Repair Kaise Kare Samasya Aur Samadhaan. Mobile Sudharne
Ke Tips – Hindi Me.
Band mobile ki kharabi band
mobile ki kharabi ki pehchaan kaise kare?
Mobile Repair
Kaise Kare – Mobile Sudharne Ke Tips.
§
Band pade mobile me full charge battery lagaye.
§
Mobile ko switch on kare.
§
Jitni baar switch on karna chahte hai kare.
§
Yadi mobile kai koshishon ke bavjud on nahi hota hai to ab
mobile set ko khole.
Band (dead) mobile ki khrabi ka
solution. Mobile Repair Kaise Kare?
(check kare mobile
pcb plate shot hai ya dead )
§
Sabse pehle multimetter se check kare ki mobile pcb plate shot
hai ya nahi.
§
Multimeter ko bajar mod par rakho aur bettery connector ke + aur
– point ko check karo.
§
Agar beep bajti hai to mobile pcb plate shot hai.
Yadi mobile
pcb plate shot nahi hai to is kharabi ab is prakar se aage step baayi step
theek kare.
Battery connector ke point ko
multimeter se check kare pcb plate se sahi juda hai ki nahi.
§
Battery ka volt check
kare, 3.7 volt se kam ho to battery ko full charge kare aur fir lagaaye.
§
Kisi chalu mobile ki
battery ko lagataar check kar le.
§
Battery aur battery
connector ke point ko scratch aur saaf kare.
§
Battery connector naya
lagaaye.
§
Mobile pcb plate ko acchi tarah se wash kare.
§
Mobile ko charging me lagao aur dekho battery charge ho rahi hai
ya nahi.
§
Agar charging ho raha hai icon screen par pradarshit hota hai
lekin mobile on nahi ho paata hai to.
§
On-off switch par 2 se 3.5 volt nahi aa rahe hai to battery ke +
point se judi coil check karo.
§
On -off switch ko scratch aur saaf karo. Kharab ho to change
karo.
§
On/off switch ke pass lage resistance aur On/off switch ke
track ko check kare. Track ka connection tuta hua hai to jumper kare.
§
Uem(power) ic ke pass vaale parts ko check karo. Uem(power) ic
par packing lagao.
§
Yadi on/off switch par 2 se 3.5 volt ke beech me aa raha hai to
mobile me naya software chadaye.
§
Mobile software flash hone ke beech me error aakar ruk raha hai
to kai baar koshish kare.
§
Fir bhi software flash nahi ho raha hai to flash ic
(memory/eprom ic) ko hit kare, uske baad fir flash kare.
§
Flash ic ko revolve aur change kare aur fir flash kare.
§
Ab bhi software flash nahi ho raha hai to cpu par packing
lagaye.
§
Software flash karne ke baad bhi mobile switch on nahi ho paata
hai to power ic aur cpu par hit de.
§
Power ic aur cpu par hit dene par bhi kharabi theek na ho
to power ic ko reboll aur change kare.
§
Uske baad bhi kharabi theek na ho to cpu ko reboll aur change
kare.
Agar apko article pasand aaya ho to apne friends aur relatives
mai share jarur kare. Aur unhe jo bhi jankari chahiye to kahe bas par www.hindikidunniya.in jaye.
Mobile Repair Karne
Ka Tareka – Mobile
Repairing Ke Tips – Hindi Me Jane
Tags: Mobile Repair Kaise Kare, Mobile
Repair Karne Ka Tarika. Mobile Repair Karne Ki Samasya, Mobile Kaise Sudhare,
Mobile Ki Tricks, Mobile Repair Ke Gharelu
Upay
1 comments:
your blog is very nice and informative thanks to sharing
with us i resolves many problems
iphone 6s screen replacement uk
Post a Comment