Sunday, 24 July 2016

TOP 12 TIPS Vajan Kaise Badhaye – Jane Hindi Me


Vajan Kaise Badhaye – Gharelo Tips

Vajan Kaise Badhaye, Aadhik dubla patla hona accha nahin hota. Issay vyaktitva nikhar nahin pata. Isliye duble log hamesha se vajan badhane ke upay sochte rahte hai. Aaiye jaane ki hum kaise apne vajan ko badha sakte hain. Vajan Kaise Badhaye Hindi Me 12 Tips.

Ghar me Vajan Kaise Badhaye

1.Kela aur doodh len

kela urja se bharpoor hota hain. Usme bahut matra mein calories, carbohydrates, potassium hota ahi jo hamen turant urja deta hai. Isi tarah doodh bhi urja ka bahut accha strotra hai. Isliye vajan badhane ke liye roz subah 1 kela 1 glass dooh ke saath jaroor khayen. Ismay 1 chammach shakaar bhi dal len. Isay aap apne khana khane ke baad bhi kha sakte hain.

2.Paneer Khayen

Vajan Kaise Badhaye, panner doodh se bana hua swadisht padarth hai. Iskay andar vasa ki matra acchi hoti hai. Isliye vajan badhana chahte hain to paneer zaroor khayen.

3.Sukhe meve khayen

Vajan Kaise Badhaye, Vajan badhane ke liye sukhe meve jaise kaju, badam, akhrot, kishmish, moongfali bhi zaroor khaye. Yeh aapke vajan ko badhane mein aapki madad karenge. Sukhe meve vasa, vitamin aur minerals se bharpur hote hain aur unmein vajan vridhi karne mein sahayak aavashyak tel bhi hota hai jis se vajan badhta hai. 1 glass doaadh mein 3 badam aur 2 khajoor daalen aur unhen ubalen. Isay 1 mahine tak piyen. Iskay saath hi 30 gram kishmish paani mein raat mein bhigo den aur subah uthkar unhen kha len. Aisa karne se vajan badhta hai.

4.Egg khayen

Vajan Kaise Badhaye, Egg yani anda vasa, calorie aur protein ka accha strotra hai. Roz andon ka sevan apki maaspeshiyan viksit karne ke liye aavashak protein aur urja pradan karta hai. Ublay ande ya omelettes khane se aapka vajan badhne lagega.

5.Fali wali sabziyaan khayen

Fali waali sabziyoon jaise razma, moong, soya bean mein protein aur carbohydrate ki acchi matra hoti hai. Inhe nashte ya khane mein zaroor len. Inhe khaane se vajan mein vridhi hoti hai.

6.Aaloo khayen

Vajan Kaise Badhaye, Aaloo mein carbohydrate ki matra adhik hoti hai. Jo log Aaloo ke chips ya french fries khate hain unka vajan badha hoata hai. Isliye agar vajan badhan chate hain to apne khane aur nashte mein aaloo se bani hi cheezon ko shaamil kar len.

7.Mithe taral padarth vajan badhate hain

Mithi chai, coffee, cold drinks, fruit juice mein calories ki acchi matra hoti hai jo aapke vajan ko badhane mein sahayak hoti hai. Iskay saath hi taza anaar ke ras mein ek chammach shahad aur kuch matra mein kala namak milakar lene se bhi vajan badhta hai. Kacche nariyal ka pani bhi paushtik hota hai aur vajan badhane mein sahayak hota hai.

8.Vyayam ke dwara

Vajan Kaise Badhaye, Jab aap niyamit vyayam karte hai to apka khana jaldi pach jaata hai aur aapko adhik bhook lagne lagti hai. Aap aur khate hain jisse aapke sharir mein zyada calories pahunchti hain jo aapke vajan ko badhane mein sahayak hoti hain. Isliy vyaayam jaroor karen. Vyaayam mein aap cycle chalana, dance karne, tarina aadi kar sakte hain.

9.Dopahar ki jhapki len

Yadi aap ke paas khali samay hai to dopahar mein nind ki ek jhapki le lijiye. Dopahar ki jahpki bhi aapke vajan ko badhane mein sahayak hoti hai. Dopahar mein khana khane ke baad 30 minute ki jhapki lene se vajan badhta hai.

10.Makkhan ya ghee ko shakkar ke saath khayen

Vajan Kaise Badhaye, Makkhan ya ghee ko shakkar ke saath saman anupaat mein milayen. Dono ki ek ek chammach lein. Is mishran ko khana khane ke 30 minute pehle khayen ya khaali pet khaayen. Aapka vajan badhne lagega.

11.Aam khayen

Aam ek bahut hi swadisht fal hai jo garmiyon mein aata hai. Aam mein acchi matra mein vitamin aur mineral hote hain jo vajan badhane mein sahayak hote hain. Lekin keval akela aam khane se koi fayda nahin hota hai. Aam ke saath doodh peene se hi vajan badhta hai. Vajan badhane ke liye aap saptah mein do baar mango shake bhi pi sakte hain.

12.Tanav mukta rahen

Vajan Kaise Badhaye, Tanav vajan nahin badhne ka pramukh karan hai. Tanav ke karan hi hum jo khate hain woh hamare sharir par prabhav nahin dikha pata. Isliye tanav mukta rahen. Aap jitna kam tanav rakhenge aap ke sharir par khana utana hi jaldi asar karega aur aapka vajan badhega.
Agar apko article pasand aaya ho to apne friends aur relatives mai share jarur kare. Aur unhe jo bhi jankari chahiye to kahe bas  par www.hindikidunniya.in jaye.
Vajan Kaise Badhaye pleas shear frands and relative
Tags: Vajan Kaise Badhaye, Vajan Badhane Ke Tarike Hindi Me, Vajan Kaise Badhaye Hindi Me. Vajan Badhane Ke Gharelu Tarike, Weight Gain Kaise Kare

2 comments:

Anil said...

Thanks for sharing home remedies. You can try out herbal supplement for weight gain.

Unknown said...

Nice tips. Apart from tips you can also use herbal remedies to gain weight naturally.

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More